Showing posts with label society. Show all posts
Showing posts with label society. Show all posts

Friday, 12 April 2013

Bik Gaye Kahin


Pata hai kahaan chhupaa rakhaa hai khud ko?
Ya dhoondney ka ab mann nahin karta?
Ya bech diya khud ko bharey baazaar mein?
Chhote chhote sapnon ke keemat badi bhaari,
kaudi kaudi, sikka sikka, umr beetey jaaye saari.
Bech diya re bech diya,
maine hazaar sapnon ko bech diya,
seth ne lagaayi keemat itni pyaari,
uska sapna zara jyada mehenga dikhaai padta hai.
Noton ke beech kahin ek note ban,
pada hoon bandd seth ki tijori mein,
jeb se nikloonga kabhie uska sapna poora karne ko.
Haan bhai, pata hai kahaan chhupa rakhaa hai khud ko.
Bas ab dhoondney ka mann nahin karta.

(Dedicated to all the working class heroes)

Sunday, 15 July 2012

Dard Toh Hua Hoga...


देखकर तस्वीर उस लड़की की
जिसकी उछाल दी इज्ज़त भरे बाज़ार में
उस लड़की की तस्वीर देखकर
दर्द तो हुआ होगा 
 
देखकर इंटरवीयू उस लड़की का
जिसके मुंह से दो शब्द ना निकल पा रहे थे
उस लड़की के आंसू देखकर
दर्द तो हुआ होगा.
 
सुनकर शब्द उस व्यक्ति के
जिसने लड़की को बचाने की कोशिश में चोट खा ली
उस व्यक्ति की बेबसी सुनकर
दर्द तो हुआ होगा.
 
देखकर खामोशी उन् लोगों की
जो आस पास घेरा बनाए तमाशा देख रहे थे
उन् लोगों की नपुंसकता देखकर
दर्द तो हुआ होगा.
 
सुनकर कठोर शब्द समाज के
जो आज कोस रहे हैं खुद उस लड़की को
उस समाज के दोग्लेपन्न का हिस्सा बन
दर्द तो हुआ होगा.
 
पढ़कर इंटरवीयू  नेता महाशय का
जो दूसरी पार्टी को इसका ज़िम्मेदार मानते हैं
उस नेता के असली रंग देखकर
दर्द तो हुआ होगा.
 
और देखकर शान उन् हैवानों की
जो आज भी खुल्ले आम सड़क पर घूम रहे हैं
उन दरिंदों की हिम्मत देखकर
दर्द तो हुआ होगा.
 
दर्द तो हुआ होगा
मगर दिल बहलाने को और भी तरीके तैयार हैं.
दर्द तो हुआ होगा
मगर हर बड़ा दर्द सहने को, हर कोई लाचार है.
- Prateek

Friday, 11 May 2012

Der Ho Gayi


Ravivaar ko der tak sone waale apne bete ko
subah subah television ke aage baitha dekh
thoda chaunk si gayi thee woh.

"Kya hua Rahul?
Jaldi kaise uth gaya?"

"Ma! TV per naya program aa raha hai.
Ek mashhoor film star
bhroon hatya ke khilaaf
aawaaz utha raha hai."

Sunkar ma thoda hadbadaayi.
"Par beta, doosre channel per achhi picture aa rahi hai.
Chalo. Woh dekhte hain.
Main bhi tumhaare saath bathkar dekh loongi."

"Nahin ma! Picturein toh aati rahengi.
Magar yeh dekho ma.
Kaise kuchh log ladki paida hee nahin hone dete!
Kya inn logon ka dil nahin hota?
Kya inhein aisa kadam uthaane mein darr nahin lagta?
Kaise log hain yeh, chheee!"

Sunkar apne bachche ki baat
chali jaati hai woh apne kamre mein.
Nikaalti hai almaari se woh doctor ki report
jiss per likha tha
'Abortion successful'.
Aaj uske aansoo, ruk na rahe they.
-------------------------------------------------
-Prateek
11/5/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Wednesday, 2 May 2012

She Danced


Kaafi puraani baat hai.
Ghaati mein saalon ke baad baraf giri thee.
Aur jab sab apne gharon ke andar
mandd choolhe per haath sek rahe they,
woh baahar nikalti hai.

Woh baahar nikalti hai,
baraf se dhakee ghaati ko nihaarne.
Barfaani thand ka ek jhonka
uske gaalon per jaise hee padtaa hai.
Woh naachti hai.

Woh naachti hai, jaise koi kal na ho.
Woh naachti hai, jaise iskey baad koi jashn hee na ho.
Woh naachti hai, jaise aaj woh azaad thee.
Woh naachti hai, jaise yeh baraf uski daas thee.
Woh naachti hai, zindagi ki taal pe.
Woh naachti hai, vaadi ki saaz pe.
Woh naachti hai.

Uss din
aakhri baar usey dekha gaya thaa.
Kisi ne kaha, bhaag gayi hogi marjaani.
Toh kisi ne kaha, maar diya hoga usko.
Kahaan gayab ho gayi
kisi ko nahin pata thaa.
Aur saath hee uske gayab ho gayi
ghaati se woh baraf.

Uss din ke baad aaj tak,
ghaati mein kabhie baraf nahin giri.
Uss saal ki baraf bhi paani ban chuki thee.
Ja mili woh ek gehre samundar mein.

Aaj bhi jab baadal chhate hain.
Aaj bhi jab aasmaan shor machaata hai.
Aaj bhi jab ghaati apni beti ko yaad karti hai
Woh naachti hai.
Gehre samundar ke beech
leher bankar,
woh naachti hai.
Woh naachti hai.
---------------------------------------------------
-Prateek
2/5/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic