Showing posts with label Childhood. Show all posts
Showing posts with label Childhood. Show all posts

Saturday, 16 June 2012

Cycle


Bin zameen par paanv rakhe,
ek din humney, duniya dekhi thee.
Cycle badi thee lekin,
paanv zaraa chhote reh gaye they.
Ab ek baar jo badi cycle uthaa lee,
chhoti sawaari per jaane ka,
mann kisey thaa.
Paanv zameen per na rakhne ki zidd mein,
kharochein khaa le thee ghutnoon ne.
Har kharonch ke aaj bhi gawaah hain woh galee kooche,
cycle per chadker jinpe, fatah paar ki thee humney.
Bin zameen par paanv rakhe,
ek din humney, duniya dekhi thee.
-------------------------------------
-Prateek
16/6/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Sunday, 10 June 2012

Taalaab Kinaare...


Bachpan ki baat hai.
Taalaab kinaare jab hum,
paani mein woh chikne patthar phainka karte they.
Aur ginte they, kitni baar woh patthar,
soye hue uss taalaab ko jagaaega.
Kai saalon ke baad,
ehsaas hua achaanak.
Taalaab ko kabhie jhakjhor kar rakh dene waala patthar
aaj kahin shaant baitha hoga
uss taalaab ki gehraaiyon ke sannate mein.
----------------------------------------------
-Prateek
10/6/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Friday, 11 May 2012

Der Ho Gayi


Ravivaar ko der tak sone waale apne bete ko
subah subah television ke aage baitha dekh
thoda chaunk si gayi thee woh.

"Kya hua Rahul?
Jaldi kaise uth gaya?"

"Ma! TV per naya program aa raha hai.
Ek mashhoor film star
bhroon hatya ke khilaaf
aawaaz utha raha hai."

Sunkar ma thoda hadbadaayi.
"Par beta, doosre channel per achhi picture aa rahi hai.
Chalo. Woh dekhte hain.
Main bhi tumhaare saath bathkar dekh loongi."

"Nahin ma! Picturein toh aati rahengi.
Magar yeh dekho ma.
Kaise kuchh log ladki paida hee nahin hone dete!
Kya inn logon ka dil nahin hota?
Kya inhein aisa kadam uthaane mein darr nahin lagta?
Kaise log hain yeh, chheee!"

Sunkar apne bachche ki baat
chali jaati hai woh apne kamre mein.
Nikaalti hai almaari se woh doctor ki report
jiss per likha tha
'Abortion successful'.
Aaj uske aansoo, ruk na rahe they.
-------------------------------------------------
-Prateek
11/5/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Friday, 2 March 2012

The Tree By The River

Yaad hai
kalkal karti, shor machaati
nadi kinaare
woh bargadd ka ped?
Aur tehni si latka
woh uncle ke truck ka tyre?
Tabh hum satrah saal ke they.

Aaj bhi hain wahaan,
woh shor machaati nadi,
woh vishaal bargadd ka ped,
rassi se latka woh truck ka tyre,
Sab kuchh hai wahaan.
Nahin hai, toh bus
tum aur main.
--------------------------------
-Prateek
2/3/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic