Showing posts with label She. Show all posts
Showing posts with label She. Show all posts

Friday, 24 May 2013

Galti Ho Gayi


Aaj subah ek galti ho gayi.
Galti ho gayi ki main uth gaya.
Galti ho gayi,
phir se mainey uss puraani subah mein aankhein khol daali,
jab uth-ta thaa uski aawaaz se.
"College nahin aana kya?
Class shuru honey waali hai."
Galti ho gayi.
Woh aawaaz kaan mein dobaara pad gayi.
Koi gaana dimaag mein kyun nahin aa raha saala!
"Nahin. Aaj attend karne ka mann nahin hai."
Kisko bolun?
Galti ho gayi, aaj usey bolne ka mann kar gaya.
Bhakk saala, radio chalaao.
"Yeh gaana dedicate kiya hai Rahul ne Priya ko...."
Chutiya hai kya!?
Gaana barbaad kar raha hai khud ke liye!
Royega saari zindagi gaana sunkar.
Ek SMS bhejoon?
Nahin. Zor se chillaunga!
Zor se chilaunga nahin aati yaad!
Uskey paas jaake bolunga, nahin aati yaad.
"Soney de yaar aaj, nahin attend karna lecture."
Yaar koi yeh tasveer mitaao dimaag se.

Tuesday, 26 February 2013

Marjaani Main Kamli

Maddham maddham sulgey tan,
raat chaandni yun raakh ho gayi.
Teri jalti ungliyon ki ek chubhan se,
marjaani main kamli,
main saakh kho gayi.
Aahiste aahiste nikli siskiyaan,
raat khaamoshi mein chittkaar kho gayi.
Sharam rakhne waalon ki galiyon mein,
marjaani main kamli,
main badnaam ho gayi.
Tinka tinka yun bikhri main,
luterey main lut teri daas ho gayi.
Muskuraaun aise teri jakad mein,
marjaani main kamli,
main be-hayaa ho gayi.
O' Ranjhya dekh Heer teri,
teri Heer na-paak ho gayi.

Sunday, 25 November 2012

Yeh Muskura Kyun Rahi Hai?


Maatam manaati muskaan.
Honth kuchh zyada hee laal hain.
Mez per rakhi lipstick toh kaali hai.
Shayad khoon peeya hai.
Halka sa cut laga hai.
Pyaala toota hua hai.
Yeh muskuraa kyun rahi hai?
Aaj subah hee kisi ne bola thaa,
moochh ke bina ajeeb lagta hoon.
Yeh dekh rahi hai kya?
Nahin. Aankhein bandd hain.
Iski duniya andhere mein hai.
Teri duniya kaunsi jagmagaa rahi hai?
Teri toh aankhein bhi khuli hain na?
Kisi ne bataaya thaa,
iski aankhein neeli hain.
Neeli?
Uski bhi aankhein neeli theen.
Jhooth bolti, aur neeli ho jaati.
Uskey toh aansoo mein bhi cheeni ghuli thee.
Abhi bhi muskuraa rahi hai.
Neeli aankhon ke sapney.
Achha hai, bandd hain.
Toote pyaale ki dhaar tez hai.
Gira hoga zaroor.
Mere haath se bhi gira thaa pyaala,
uss din usko darwaaze se baahar jaata dekh.
Whiskey?
Rum?
"Zeher hai sir."
Kambakth uss din zeher kahaan thaa?
Yeh abhi bhi muskura rahi hai.
"Postmortem ke liya bhijwaa do.
Aur haan.
Aankhein matt kholna."

Tuesday, 16 October 2012

The Archaeologist

सदियाँ गुज़र गयीं, 
लेकिन मैं खड़ा हूँ आज, 
उसी जगह, आखिरी मुलाकात के साथ, 
सब कुछ दफ़नाया था जहां. 
फिर से इतने करीब हो मेरे, 
कहा था ना,
लौट कर आऊंगा.

जिसने तुम्हें भुलाया, 
उन् बेबाक पत्थरीली बातों को हटाऊंगा.  
एक एक कर, टूटते नाखून के साथ, 
हर दफनाई वो याद हटाऊंगा.
सुर्ख पड़ी,  बेजान सी,
टूटे रिश्तों की राख हटाऊंगा.
सब्र कर, समय लगेगा,
तेरे बिन बिताये हर उस पल की, 
सतह हटाऊंगा.

देख सकता हूँ अब, 
तुम्हारी लम्बी गर्दन,
चूमता था जिसे, 
तुम सहम सी जाती. 
वो पतली कमर, 
हाथ रखता था जब, 
तुम पिघल सी जाती.
अभी भी वैसी ही हो, 
जैसा तुम्हें छोड़ा था. 
टकटकी लगाए देख रहा हूँ,
उम्मीद में, 
की शायद इस बेजान बुत्त में जान आ जाए. 
की अचानक शायद दो पंख निकल आयें, 
और मैं देख सकूं तुम्हें,
उड़ता हुआ फिर से.

सख्त हो चुकी उँगलियों से,
महीन ब्रश के कोमल दांतों से,
मिट्टी की आखिरी सतह  हटाऊंगा.
फिर से इतने करीब हो मेरे, 
कहा था ना,
लौट कर आऊंगा.

नाज़ुक हो.
कितनी नाज़ुक हो.
समय बदलता गया तुम्हें.
और तुम बदलती गयी.
यहाँ से दूर तुम्हें,
अजायबघर ले जाऊँगा.
तुम्हें फिर से बनाऊंगा.
फिर से इतने करीब हो मेरे, 
कहा था ना,
लौट कर आऊंगा.

Sadiyaan guzar gayin,
lekin main khada hoon aaj,
usi jagah, aakhiri mulakaat ke saath,
sab kuchh dafnaaya thaa jahaan. 
Phir si itna kareeb ho mere, 
kahaa thaa na, 
laut kar aaunga.

Jisne tumhein bhulaaya,
unn bebaak patthreeli baaton ko hataaunga. 
Ek ek kar, toot-te naakhoon ke saath, 
har dafnaayi woh yaad hataaunga.
Surkh padi, bejaan si, 
toote rishton ki raakh hataaunga. 
Sabr kar, samay lagega, 
tere bin bitaaye har uss pal ki, 
satah hataaunga.

Dekh sakta hoon ab,
tumhaari lambi gardan,
choomta thaa jisey, 
tum saham si jaati. 
Woh patli kamar, 
haath rakhta thaa jab, 
tum pighal si jaati. 
Ab bhi waisi hee ho, 
jaisa tumhein chhoda thaa. 
Taktaki lagaaye dekh raha hoon,
ummeed mein, 
ki shaayad iss bejaan but mein jaan aa jaaye. 
Ki achaanak shaayad do pankh nikal aayein, 
aur main dekh sakoon tumhein, 
udtaa hua phir se.

Sakhth ho chuki ungliyon se, 
maheen brush ke komal daanton se, 
mitti ki aakhiri satah hataaunga.  
Phir si itna kareeb ho mere, 
kahaa thaa na, 
laut kar aaunga.

Naazuk ho.
Kitni naazuk ho.
Samay badalta gaya tumhein,
aur tum badalti gayi.
Yahaan se duur tumhein,
ajaayabghar le jaaunga.
Tumhein phir se banaaunga. 
Phir si itna kareeb ho mere, 
kahaa thaa na, 
laut kar aaunga.  

Sunday, 15 July 2012

Dard Toh Hua Hoga...


देखकर तस्वीर उस लड़की की
जिसकी उछाल दी इज्ज़त भरे बाज़ार में
उस लड़की की तस्वीर देखकर
दर्द तो हुआ होगा 
 
देखकर इंटरवीयू उस लड़की का
जिसके मुंह से दो शब्द ना निकल पा रहे थे
उस लड़की के आंसू देखकर
दर्द तो हुआ होगा.
 
सुनकर शब्द उस व्यक्ति के
जिसने लड़की को बचाने की कोशिश में चोट खा ली
उस व्यक्ति की बेबसी सुनकर
दर्द तो हुआ होगा.
 
देखकर खामोशी उन् लोगों की
जो आस पास घेरा बनाए तमाशा देख रहे थे
उन् लोगों की नपुंसकता देखकर
दर्द तो हुआ होगा.
 
सुनकर कठोर शब्द समाज के
जो आज कोस रहे हैं खुद उस लड़की को
उस समाज के दोग्लेपन्न का हिस्सा बन
दर्द तो हुआ होगा.
 
पढ़कर इंटरवीयू  नेता महाशय का
जो दूसरी पार्टी को इसका ज़िम्मेदार मानते हैं
उस नेता के असली रंग देखकर
दर्द तो हुआ होगा.
 
और देखकर शान उन् हैवानों की
जो आज भी खुल्ले आम सड़क पर घूम रहे हैं
उन दरिंदों की हिम्मत देखकर
दर्द तो हुआ होगा.
 
दर्द तो हुआ होगा
मगर दिल बहलाने को और भी तरीके तैयार हैं.
दर्द तो हुआ होगा
मगर हर बड़ा दर्द सहने को, हर कोई लाचार है.
- Prateek

Wednesday, 2 May 2012

She Danced


Kaafi puraani baat hai.
Ghaati mein saalon ke baad baraf giri thee.
Aur jab sab apne gharon ke andar
mandd choolhe per haath sek rahe they,
woh baahar nikalti hai.

Woh baahar nikalti hai,
baraf se dhakee ghaati ko nihaarne.
Barfaani thand ka ek jhonka
uske gaalon per jaise hee padtaa hai.
Woh naachti hai.

Woh naachti hai, jaise koi kal na ho.
Woh naachti hai, jaise iskey baad koi jashn hee na ho.
Woh naachti hai, jaise aaj woh azaad thee.
Woh naachti hai, jaise yeh baraf uski daas thee.
Woh naachti hai, zindagi ki taal pe.
Woh naachti hai, vaadi ki saaz pe.
Woh naachti hai.

Uss din
aakhri baar usey dekha gaya thaa.
Kisi ne kaha, bhaag gayi hogi marjaani.
Toh kisi ne kaha, maar diya hoga usko.
Kahaan gayab ho gayi
kisi ko nahin pata thaa.
Aur saath hee uske gayab ho gayi
ghaati se woh baraf.

Uss din ke baad aaj tak,
ghaati mein kabhie baraf nahin giri.
Uss saal ki baraf bhi paani ban chuki thee.
Ja mili woh ek gehre samundar mein.

Aaj bhi jab baadal chhate hain.
Aaj bhi jab aasmaan shor machaata hai.
Aaj bhi jab ghaati apni beti ko yaad karti hai
Woh naachti hai.
Gehre samundar ke beech
leher bankar,
woh naachti hai.
Woh naachti hai.
---------------------------------------------------
-Prateek
2/5/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Thursday, 22 March 2012

Kuchh Naya, Kuchh Puraana


Dilli nayee aur puraani ho gayi
Hyderabad bhi, khuchh naya, kuchh puraana hai.
Mumbai suburb aur town mein bant gayi
Aadmi ka dil bhala kya bach paaya hai?

Baantne se yaad aaya
ghar ki chhatt se
saamne ke makaan ka woh nazaara.
Aangan mein baithi maa
aur uske chaaron taraf baithe
chaar chhote bachche
nazar lagaaye hue
haath mein maa ke rakhe
ek seb ki taraf.

Bachcho ki khilkhilaahat ke shor mein
lalchaayi aankhon, aur zor ki bhook ke beech
seb bechaara, kya bantne se bach paaya hai?

Hyderabad ka yeh hissa
zaraa naya hai.
Lekin maa ka pyaar abhi bhi
utna hee puraana hai.
-------------------------------------------------
-Prateek Garg
22/3/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic