Showing posts with label Philosophy. Show all posts
Showing posts with label Philosophy. Show all posts

Thursday, 18 October 2012

शतरंज

ज़िन्दगी की बिसात पर,
हम ही खुद के प्यादे,
खुद के बादशाह भी हम.
क्षय मात का खेल,
दो रंग
हर दिन,
एक शतरंज.
सोच क्या रहे हो?
तुम्हारी चाल है.
 
Zindagi ki bisaat per,
hum hee khud ke pyaade,
khud ke baadshah bhi hum.
Kshay maat ka khel,
do rangg,
har din,
ek shatranj.
Soch kya rahe ho?
Tumhaari chaal hai. 

Monday, 1 October 2012

बादल छोटा पड़ गया

पूरा शहर भिगोने को, एक बादल छोटा पड़ गया. 
बरसा ऐसे, गरजा ऐसे, कहीं गीला, तो कहीं सूखा छोड़ गया.
पता नहीं, कम्बख़त शहर फैला जा रहा है, 
या मुआ यह आसमान सिकुड़ गया.  


Poora sheher bhigoney ko, ek baadal chhota pad gaya.
Barsa aise, garja aise, kahin geela, toh kahin sookha chhod gaya.
Pataa nahin, kambakhat sheher phaila jaa raha hai,
ya muaa yeh aasmaam sikud gaya.

Tuesday, 10 July 2012

Thoda Khatta Sa Thaa


Mazaa chakhaa,
thoda khatta sa thaa.
Zindagi choomi,
thoda jhijhak rahi thee.
Safaltaa go galey lagaaya,
paani ka gubbaaraa sa phat gaya.
Jhoothe vaadon ki mithaas ke beech,
kadvi sharaab, galey se utar na sakee.
Aur maayoosi wahaan kone per khadee,
muskuraati rahi....

- Prateek

Sunday, 10 June 2012

Taalaab Kinaare...


Bachpan ki baat hai.
Taalaab kinaare jab hum,
paani mein woh chikne patthar phainka karte they.
Aur ginte they, kitni baar woh patthar,
soye hue uss taalaab ko jagaaega.
Kai saalon ke baad,
ehsaas hua achaanak.
Taalaab ko kabhie jhakjhor kar rakh dene waala patthar
aaj kahin shaant baitha hoga
uss taalaab ki gehraaiyon ke sannate mein.
----------------------------------------------
-Prateek
10/6/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Thursday, 29 March 2012

Akelapann (अकेलापन)


Sheher ki shehereeyat se duur
anjaan chehron ki bheed se bhaagte hue
aa khada hua main
samandar kinaare
akelapann ehsaas karne.

Kaafi der tak
samandar ne koshish ki
lehron ko baar baar bhej kar
mere kadmon ki taraf
mujhse baat karne ki.
Magar main toh aaya thaa
akelapann ehsaas karne.
Haar kar
lehrein bhi peechhe hat gayi.

Kaafi der tak
sooraj ne koshish ki
kirnon ko baar baar bhej kar
mere chehre ki taraf
mujhse baat karne ki.
Magar main toh aaya thaa
akelapann ehsaas karne.
Haar kar
dhoop bhi sheethal pad gayi.

Kaafi der tak
chaand ne koshish ki
chaandni ko baar baar bhej kar
meri kaaya ki taraf
mujhse baat karne ki.
Magar main toh aaya thaa
akelapann ehsaas karne.
Haar kar
chaandni bhi andhere mein badal gayi.

Jeet gaya, main jeet gaya.
Aaj akelepann ka jashn manaana hai.
Aur phir khoj mein chal pada
kisi yaar ki
jisko sunaa sakoon kahaani
apni jeet ki.
------------------------------------
-Prateek Garg
29/3/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Monday, 5 March 2012

Galactic Love - It's Complicated


Dharti samajhke usko apna
main chaand ki tarah
ghoomta raha aawaara
uski galiyon mein
firaaq mein
ki kahin
ek nazar bhar
dekh le woh
apne deewaane ko.

Mujhe kya maaloom thaa
ki meri dharti bhi
ghoom rahi thee
manchalon ki tarah
aage peechhe
apne sooraj ke.

Jaanti hai
ki sooraj bada dilphenk hain.
Sataata hai woh usko
Lakhon soorajmukhiyon ko roz
pataata hai jo woh.
Aur phir
doob jaata hai jashn mein
raatbhar
apne dost saagar ke saath.

Magar phir bhi
woh karti hai intezaar
nayi subah hone ka.

Dukhi dil se
roz yeh nazaara dekhta hoon
Meri hee chaandni ko
mujhper hansta dekhta hoon
--------------------------------
-Prateek
5/3/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic