Showing posts with label Nostalgia. Show all posts
Showing posts with label Nostalgia. Show all posts

Saturday, 22 September 2012

यादें

यादें. 
कुछ यादें दिल में रह गयीं, 
कुछ यादें कागजों पर रह गयीं.
कुछ कागज़ डायेरी के पन्ने रह गए, 
कुछ कागज़ मेरी जेब में रह गए.
कल रात एक जेबकतरा,
मेरी कुछ यादों को अपने साथ ले गया.
संभाल के रखना भाई,
थोड़ी नाज़ुक हैं.
वज़न ज्यादा लगे तो,
पानी में बहा देना.
मैं समंदर किनारे रोज़ मिलूंगा,
ढलते सूरज के नीचे,
डूबा हुआ,
इन् यादों में.


Yaadein.
Kuchh yaadein dil mein reh gayin,
kuchh yaadein kaagazon par reh gayin.
Kuchh yaadein diary ke panne reh gaye,
kuchh kaagaz meri jeb mein reh gaye.
Kal raat ek jebkatraa,
meri kuchh yaadon ko apne saath le gaya.
Sambhaal ke rakhna bhai,
thodi naazuk hain.
Vazan jyada lagey toh,
paani mein bahaa dena.
Main samandar kinaare roz miloonga,
dhaltey sooraj ke neeche,
dooba hua,
inn yaadon mein.

Saturday, 16 June 2012

Cycle


Bin zameen par paanv rakhe,
ek din humney, duniya dekhi thee.
Cycle badi thee lekin,
paanv zaraa chhote reh gaye they.
Ab ek baar jo badi cycle uthaa lee,
chhoti sawaari per jaane ka,
mann kisey thaa.
Paanv zameen per na rakhne ki zidd mein,
kharochein khaa le thee ghutnoon ne.
Har kharonch ke aaj bhi gawaah hain woh galee kooche,
cycle per chadker jinpe, fatah paar ki thee humney.
Bin zameen par paanv rakhe,
ek din humney, duniya dekhi thee.
-------------------------------------
-Prateek
16/6/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Sunday, 10 June 2012

Taalaab Kinaare...


Bachpan ki baat hai.
Taalaab kinaare jab hum,
paani mein woh chikne patthar phainka karte they.
Aur ginte they, kitni baar woh patthar,
soye hue uss taalaab ko jagaaega.
Kai saalon ke baad,
ehsaas hua achaanak.
Taalaab ko kabhie jhakjhor kar rakh dene waala patthar
aaj kahin shaant baitha hoga
uss taalaab ki gehraaiyon ke sannate mein.
----------------------------------------------
-Prateek
10/6/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Friday, 2 March 2012

The Tree By The River

Yaad hai
kalkal karti, shor machaati
nadi kinaare
woh bargadd ka ped?
Aur tehni si latka
woh uncle ke truck ka tyre?
Tabh hum satrah saal ke they.

Aaj bhi hain wahaan,
woh shor machaati nadi,
woh vishaal bargadd ka ped,
rassi se latka woh truck ka tyre,
Sab kuchh hai wahaan.
Nahin hai, toh bus
tum aur main.
--------------------------------
-Prateek
2/3/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic