Showing posts with label Escapism. Show all posts
Showing posts with label Escapism. Show all posts

Friday, 24 May 2013

Galti Ho Gayi


Aaj subah ek galti ho gayi.
Galti ho gayi ki main uth gaya.
Galti ho gayi,
phir se mainey uss puraani subah mein aankhein khol daali,
jab uth-ta thaa uski aawaaz se.
"College nahin aana kya?
Class shuru honey waali hai."
Galti ho gayi.
Woh aawaaz kaan mein dobaara pad gayi.
Koi gaana dimaag mein kyun nahin aa raha saala!
"Nahin. Aaj attend karne ka mann nahin hai."
Kisko bolun?
Galti ho gayi, aaj usey bolne ka mann kar gaya.
Bhakk saala, radio chalaao.
"Yeh gaana dedicate kiya hai Rahul ne Priya ko...."
Chutiya hai kya!?
Gaana barbaad kar raha hai khud ke liye!
Royega saari zindagi gaana sunkar.
Ek SMS bhejoon?
Nahin. Zor se chillaunga!
Zor se chilaunga nahin aati yaad!
Uskey paas jaake bolunga, nahin aati yaad.
"Soney de yaar aaj, nahin attend karna lecture."
Yaar koi yeh tasveer mitaao dimaag se.

Thursday, 7 February 2013

Main Chalaa

 
O' sayaane dekh mujhe,
teri bastee mein main baawra sahi.
Tere kad se oonchey tere makaan,
teri viraan galiyon mein main besahaara sahi.
Sikkey sikkey se toli teri kahaani ka bojh,
korey panne ka main koraa afsaanaa sahi.
 
Ummeedon ke par hain, woh toh theek hai magar,
chidiya hee jab qaid hai pinjarey mein...
Kaalaapaani sa tera aasmaan,
main inn chhodi galiyon ka aawaara sahi.
Kuchh aatey kandhey, kuchh jaatey kandhey,
thoda bojh udhaar de jaate kandhey,
ek hee raah par chaltey jaatey kandhey,
manzil meri alag mujhey inn andhon se takraana nahin.

O' sayaane tu jee bhar aaj phir dekh mujhe,
teri bastee mein dobaara aanaa nahin.

Thursday, 29 March 2012

Akelapann (अकेलापन)


Sheher ki shehereeyat se duur
anjaan chehron ki bheed se bhaagte hue
aa khada hua main
samandar kinaare
akelapann ehsaas karne.

Kaafi der tak
samandar ne koshish ki
lehron ko baar baar bhej kar
mere kadmon ki taraf
mujhse baat karne ki.
Magar main toh aaya thaa
akelapann ehsaas karne.
Haar kar
lehrein bhi peechhe hat gayi.

Kaafi der tak
sooraj ne koshish ki
kirnon ko baar baar bhej kar
mere chehre ki taraf
mujhse baat karne ki.
Magar main toh aaya thaa
akelapann ehsaas karne.
Haar kar
dhoop bhi sheethal pad gayi.

Kaafi der tak
chaand ne koshish ki
chaandni ko baar baar bhej kar
meri kaaya ki taraf
mujhse baat karne ki.
Magar main toh aaya thaa
akelapann ehsaas karne.
Haar kar
chaandni bhi andhere mein badal gayi.

Jeet gaya, main jeet gaya.
Aaj akelepann ka jashn manaana hai.
Aur phir khoj mein chal pada
kisi yaar ki
jisko sunaa sakoon kahaani
apni jeet ki.
------------------------------------
-Prateek Garg
29/3/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic