Sunday 13 November 2011

Kharonchein (खरोंचें)


Sayaane naqaabon ki 
iss bheed mein
khud ka chehra bhi
anjaana sa lagta hai.

Noch noch ke 
naqaab nikaalne ki chaah mein
chehre per aa gayin
kai kharonchein.
Aur chhod gaya waqt 
chehre pe apne nishaan.

Ye muskuraahat meri na sahi
udhaar kee hai.
Per in kharonchon mein chhupi kahaani
meri hee hai.
-----------------------------------------
-Prateek
13/11/2011

6 comments:

  1. Kya baat keh di Prateek! Matlab chechre pe chehra. Chehre pe chehra. asli chehra khud hi bhool baithhe hain.. :)

    ReplyDelete
  2. Asli chehra, ab begaana sa lagta hai. Shayad naqaab, kuchh chipak sa gaya hai.

    ReplyDelete
  3. You outdo yourself with each poem.And I like that.

    ReplyDelete
  4. Simply your best and I know how swift and straight from the heart it came.

    ReplyDelete
  5. Kya baat kya baat ! Simply superb :)

    ReplyDelete