Sayaane naqaabon ki
iss bheed mein
khud ka chehra bhi
anjaana sa lagta hai.
Noch noch ke
naqaab nikaalne ki chaah mein
chehre per aa gayin
kai kharonchein.
Aur chhod gaya waqt
chehre pe apne nishaan.
Ye muskuraahat meri na sahi
udhaar kee hai.
Per in kharonchon mein chhupi kahaani
meri hee hai.
-----------------------------------------
-Prateek
13/11/2011
Kya baat keh di Prateek! Matlab chechre pe chehra. Chehre pe chehra. asli chehra khud hi bhool baithhe hain.. :)
ReplyDeleteAsli chehra, ab begaana sa lagta hai. Shayad naqaab, kuchh chipak sa gaya hai.
ReplyDeleteYou outdo yourself with each poem.And I like that.
ReplyDeleteThank you kind sire.
ReplyDeleteSimply your best and I know how swift and straight from the heart it came.
ReplyDeleteKya baat kya baat ! Simply superb :)
ReplyDelete