Tuesday, 26 February 2013

Marjaani Main Kamli

Maddham maddham sulgey tan,
raat chaandni yun raakh ho gayi.
Teri jalti ungliyon ki ek chubhan se,
marjaani main kamli,
main saakh kho gayi.
Aahiste aahiste nikli siskiyaan,
raat khaamoshi mein chittkaar kho gayi.
Sharam rakhne waalon ki galiyon mein,
marjaani main kamli,
main badnaam ho gayi.
Tinka tinka yun bikhri main,
luterey main lut teri daas ho gayi.
Muskuraaun aise teri jakad mein,
marjaani main kamli,
main be-hayaa ho gayi.
O' Ranjhya dekh Heer teri,
teri Heer na-paak ho gayi.

Thursday, 7 February 2013

Main Chalaa

 
O' sayaane dekh mujhe,
teri bastee mein main baawra sahi.
Tere kad se oonchey tere makaan,
teri viraan galiyon mein main besahaara sahi.
Sikkey sikkey se toli teri kahaani ka bojh,
korey panne ka main koraa afsaanaa sahi.
 
Ummeedon ke par hain, woh toh theek hai magar,
chidiya hee jab qaid hai pinjarey mein...
Kaalaapaani sa tera aasmaan,
main inn chhodi galiyon ka aawaara sahi.
Kuchh aatey kandhey, kuchh jaatey kandhey,
thoda bojh udhaar de jaate kandhey,
ek hee raah par chaltey jaatey kandhey,
manzil meri alag mujhey inn andhon se takraana nahin.

O' sayaane tu jee bhar aaj phir dekh mujhe,
teri bastee mein dobaara aanaa nahin.