Saturday 4 July 2015

Zaroorat Padey, Toh.

Sochta hoon zaroorat na padey.
Thoda teri baahon ki chaadar odhey rehna chaahta hoon.
Gardan par saanson ki dastak,
Kaanon per teri zulfon ki sarsaraahatt,
Teri ungliyon to mere hontho ka raasta naapney dena chaahta hoon.
Aankhein main phir bhi na kholoonga,
Tujhe makhmal ke bistar per pighaltey dekhna chaahta hoon.
Shabd na koi, lekin teri shaitaan hansi,
Teri dabi hansi mein teri sharaarat,
Tere chulbuleypann se teri naraazgi tak,
Teri masoom aah mein simatnaa chaahta hoon.
Aankhein main phir bhi na kholoonga,
Zaroorat padey, toh pukaar lena.
Zaroorat padey, toh jagaa dena.


No comments:

Post a Comment