Wednesday 14 December 2011

Safed Kaagaz Ka Tukda



Barf sa safed
woh kaagaz ka tukda
kehta hai
"Safed hee main bana thaa.
Safed hee main rahoonga.
Main jalkar
safed raakh mein badal jaana
behtar samjhoonga,
lekin kisi kaali syaahi ke daag ko
apne oopar lagne bhi nahin doonga.
Main hamesha
shuddh rahoonga"

Paas hee rakhi
kaali syaahi ki dawaat
hans rahi hai
apne poore kaale dil se.
"Main naa jaaungi
iss ghamandee ke paas."

Aur iss tarah
barf sa safed
woh kaagaz ka tukda
zindagi bhar ke liye
shuddh hee reh gaya.
Aur syaahi ke liye
bin kahaani ka
sirf ek kora kaagaz.
-------------------------------
-Prateek
14/12/2011
https://twitter.com/#!/Scotchaholic
*based on a short story by Kahlil Gibran



1 comment:

  1. Syaahi jab kaagaz pe girti hai, tabhi kaagaz ka mulya badhta hai. Warna safed kaagaz, sir kaagaz ka tukda hee reh jaata hai.

    ReplyDelete