Kaafi puraani baat hai.
Ghaati mein saalon ke baad baraf giri thee.
Aur jab sab apne gharon ke andar
mandd choolhe per haath sek rahe they,
woh baahar nikalti hai.
Woh baahar nikalti hai,
baraf se dhakee ghaati ko nihaarne.
Barfaani thand ka ek jhonka
uske gaalon per jaise hee padtaa hai.
Woh naachti hai.
Woh naachti hai, jaise koi kal na ho.
Woh naachti hai, jaise iskey baad koi jashn hee na ho.
Woh naachti hai, jaise aaj woh azaad thee.
Woh naachti hai, jaise yeh baraf uski daas thee.
Woh naachti hai, zindagi ki taal pe.
Woh naachti hai, vaadi ki saaz pe.
Woh naachti hai.
Uss din
aakhri baar usey dekha gaya thaa.
Kisi ne kaha, bhaag gayi hogi marjaani.
Toh kisi ne kaha, maar diya hoga usko.
Kahaan gayab ho gayi
kisi ko nahin pata thaa.
Aur saath hee uske gayab ho gayi
ghaati se woh baraf.
Uss din ke baad aaj tak,
ghaati mein kabhie baraf nahin giri.
Uss saal ki baraf bhi paani ban chuki thee.
Ja mili woh ek gehre samundar mein.
Aaj bhi jab baadal chhate hain.
Aaj bhi jab aasmaan shor machaata hai.
Aaj bhi jab ghaati apni beti ko yaad karti hai
Woh naachti hai.
Gehre samundar ke beech
leher bankar,
woh naachti hai.
Woh naachti hai.
---------------------------------------------------
-Prateek
2/5/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic
picturesque creation bro :) very nice.
ReplyDeleteThanks pal. Even I could see her dancing while I wrote this.
Delete