Yeh jo,
gehre rang ki lipstick se
tum apne hothon ko sajaa rahi ho,
bataa rahi hai iski chamak,
kal din bhar, uski yaad mein,
kaafi cigarette ka dhuaan udaa thaa,
kaafi baney they saanson ke chhalle,
aur jaley they tumhaare honth bhi, kai baar.
Kya in jaley honthon ko,
aur der chhupa sakogi?
Yeh jo,
kaale rang ke chashme se
apni aankhon ko dhoop se bacha rahi ho,
ya chhupa rahi ho andhere ki aadh mein
aankhon ke neeche woh kaale ghere,
jo bataa rahe hain
kitni raatein kaati hain tumne jagkar,
uskey intezaar mein.
Aur kitney hee aansoo bahaaye gaye hain,
uss harjai ke jhoothe pyaar mein.
Kya in sach bolti aankhon ko,
aur der chhupa sakogi?
Yeh jo,
dagmag dagmag kar,
beech bazaar mein chalkar,
jala rahi ho laakhon ke dil,
woh madmastt chaal bhi gawaah hai,
pichhli raat ka,
Jab tumne akelepann ka jashn manaaya thaa.
Dekho, abhi tak uss aakhri jaam ka nasha, utraa nahin.
Kya is jhoomti chaal se, apne andar ka khaalipan,
aur der, chhupa sakogi?
---------------------------------------------------------
-Prateek
14/1/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic
Intense. So, I loved it. :)
ReplyDeleteLovely. And very profound. Loved it. Beautiful :)
ReplyDeleteAmazing poetry by you thats speaks of how a desolate sould could be. Enjoyed going through your wonderful lines.
ReplyDeletei loved it! :D it's amazing how you express such complexity with such simple words.. and i mean, the whole hindi factor is so beautiful! :D hehe, keep writing, please!
ReplyDeleteHave been reading your blog for an hour or so now, the best one until now..But not stopping yet. Going back to reading more from your writings. Brilliant
ReplyDeleteWell, thank you kind mademoiselle. It's always a pleasure when someone appreciates these poems : )
Delete