Thursday 29 March 2012

Akelapann (अकेलापन)


Sheher ki shehereeyat se duur
anjaan chehron ki bheed se bhaagte hue
aa khada hua main
samandar kinaare
akelapann ehsaas karne.

Kaafi der tak
samandar ne koshish ki
lehron ko baar baar bhej kar
mere kadmon ki taraf
mujhse baat karne ki.
Magar main toh aaya thaa
akelapann ehsaas karne.
Haar kar
lehrein bhi peechhe hat gayi.

Kaafi der tak
sooraj ne koshish ki
kirnon ko baar baar bhej kar
mere chehre ki taraf
mujhse baat karne ki.
Magar main toh aaya thaa
akelapann ehsaas karne.
Haar kar
dhoop bhi sheethal pad gayi.

Kaafi der tak
chaand ne koshish ki
chaandni ko baar baar bhej kar
meri kaaya ki taraf
mujhse baat karne ki.
Magar main toh aaya thaa
akelapann ehsaas karne.
Haar kar
chaandni bhi andhere mein badal gayi.

Jeet gaya, main jeet gaya.
Aaj akelepann ka jashn manaana hai.
Aur phir khoj mein chal pada
kisi yaar ki
jisko sunaa sakoon kahaani
apni jeet ki.
------------------------------------
-Prateek Garg
29/3/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Thursday 22 March 2012

Kuchh Naya, Kuchh Puraana


Dilli nayee aur puraani ho gayi
Hyderabad bhi, khuchh naya, kuchh puraana hai.
Mumbai suburb aur town mein bant gayi
Aadmi ka dil bhala kya bach paaya hai?

Baantne se yaad aaya
ghar ki chhatt se
saamne ke makaan ka woh nazaara.
Aangan mein baithi maa
aur uske chaaron taraf baithe
chaar chhote bachche
nazar lagaaye hue
haath mein maa ke rakhe
ek seb ki taraf.

Bachcho ki khilkhilaahat ke shor mein
lalchaayi aankhon, aur zor ki bhook ke beech
seb bechaara, kya bantne se bach paaya hai?

Hyderabad ka yeh hissa
zaraa naya hai.
Lekin maa ka pyaar abhi bhi
utna hee puraana hai.
-------------------------------------------------
-Prateek Garg
22/3/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Monday 5 March 2012

Galactic Love - It's Complicated


Dharti samajhke usko apna
main chaand ki tarah
ghoomta raha aawaara
uski galiyon mein
firaaq mein
ki kahin
ek nazar bhar
dekh le woh
apne deewaane ko.

Mujhe kya maaloom thaa
ki meri dharti bhi
ghoom rahi thee
manchalon ki tarah
aage peechhe
apne sooraj ke.

Jaanti hai
ki sooraj bada dilphenk hain.
Sataata hai woh usko
Lakhon soorajmukhiyon ko roz
pataata hai jo woh.
Aur phir
doob jaata hai jashn mein
raatbhar
apne dost saagar ke saath.

Magar phir bhi
woh karti hai intezaar
nayi subah hone ka.

Dukhi dil se
roz yeh nazaara dekhta hoon
Meri hee chaandni ko
mujhper hansta dekhta hoon
--------------------------------
-Prateek
5/3/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

Friday 2 March 2012

The Tree By The River

Yaad hai
kalkal karti, shor machaati
nadi kinaare
woh bargadd ka ped?
Aur tehni si latka
woh uncle ke truck ka tyre?
Tabh hum satrah saal ke they.

Aaj bhi hain wahaan,
woh shor machaati nadi,
woh vishaal bargadd ka ped,
rassi se latka woh truck ka tyre,
Sab kuchh hai wahaan.
Nahin hai, toh bus
tum aur main.
--------------------------------
-Prateek
2/3/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic