Hospital ke bed par lee aakhri saans,
aur electric shock ke baad, monitor per aati pehli tedhi lakeer ke beech...
Cinema ki koney waali seat per baithne,
aur andhera hone par uska haath thaamne ke beech...
Race track par jhuke sar,
aur pistol se nikli pehli cheekh ke beech...
Exam hall mein invigilator dekh hue sannatey,
aur pehli kaagaz ki khadkhadaahat ke beech,
Script baar baar padhne aur dohraane,
aur director ke munh se nikle pehle 'action' ke beech...
Panne par ukeri kal ki beeti yaadein,
aur syaahi se bharne ko betaab kore panne ke beech...
Manch par khade judge ke haath mein kaagaz ka tukda dekhne,
aur taaliyon ke shor mein khud ka naam sunn-ne ke beech...
Chehre par maa ke haathon se lagi pehli haldi ka sparsh,
aur haathon se chhoot-ti mehendi ke aakhri nishaan ke beech...
Airport ke darwaaze ke baahar lagi bheed,
aur usmein kisi apne ko intezaar karte paane ke beech...
Dartey hue munh se nikle dil ke woh pehle shabd,
aur uss pehle aalingan ke beech...
Karodon nazron se ghire, maidaan par pehla kadam,
aur tez aati uss pehli gend ka saamna karne ke beech...
Zindagi kisey kehte hain?
Zindagi, isey kehte hain.