Monday, 27 February 2012

Likhoon Aisi Kavita Kaunsi?


Aaj achaanak se
kisi ne poochh hee liya
"Kya miyaan!
Nahin likh rahe ho aajkal
wohi roz ki kavitaayen tum apni?
Lagta hai,
bahut khush ho in dinon tum"

Daftar se ghar tak ka
dedh ghante ka safar
isi uljhan mein beet gaya....

Kyun koode ke dher se,
khaana chugte bachche ka drishya,
mann mein koi kavita nahin la paaya?

Kyun raste ke ek park mein,
jogging karte uss jodey ka nazaara,
mann mein koi kavita nahin la paaya?

Kyun meri uss dost ka,
apne pyaar ke bichhad jaane ka gam,
mann mein koi kavita nahin la paaya?

Aur isi uljhan ke taane baane ko suljhaate hue,
ghar pahuncha hee thaa,
ki achaanak yaad aayi,
uss shakhs ki baat,
"...Lagta hai,
bahut khush ho in dinon tum"

Chain ki saans lete hue,
mann bola,
"Haan.
Bahut khush hoon, in dinon main"
-----------------------------------
-Prateek
27/2/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic


Wednesday, 15 February 2012

Sapne Kahin Kho Gaye



Duur kisi chhote se sheher mein
ek tangg galee thee
Uss galee ke baadshah they hum
Aditi, Akshay, Dilip, Priya, aur main.

Woh galee,
jo kabhi hamaari uchhal kood se
hamesha chehekti, goonjti rehti thi,
Aaj aakar dekhta hoon,
sannatte ka shor sunaayi deta hai.
Aur sunaai deti hai cheekhein,
unn bade bade adhoore sapnon ki,
jo basey they hamari,
inn chhoti chhoti aankhon mein.

Aditi ne suicide kar liya.
Uss neta ke khilaaf,
bhrashtachaar ka mudda uthaana,
izzatt ke liye bhi,
aur jaan ke liye bhi,
kaafi mehenga saabit hua.

Inspector Akshay.
Case chal raha hai janaab par,
ghooskhori ka.
Be-imaanon ke beech uthte baithte
kab khudka eemaan bech baithe
pata hee na chala.

Priya,
jo kabhi 'businesswoman' bann-ne waali thee,
pata chala hai
shaadi ho gayi hai.
Do bachchon ko sambhalti hui
ghar ki sethaani see ho gayi hai.
Kisi bhi tarah 'modern' toh nahin lagti.

Dilip.
Na toh koi audience mili,
na koi bada label.
Roz raat ko kisi kitty party mein
ek do gaane gaata hai.
Ameer aurton ka daas banke
raat ko akele ghar mein
guitaar bajaata hai.

Phone karke kehta hai.
"Pata nahin yaar.
kahaan galti ho gayi.
Shayad sapne zyada badey dekh liye,
ya haqeeqat parda kar gayi."

Main chupchaap
sirf suntaa raha.
Shayad meri kahaani bataane ka abhi
sahi waqt nahin thaa.
---------------------------------------
-Prateek
2/15/2012
https://twitter.com/#!/Scotchaholic

*Loosely based on "The Kids Aren't Alright", by Offsprings.